Saturday, March 8, 2014

Kashmakash


Kashmakash hai dil me to saaso ko kyo dabana chahte ho,
Pas aana chahte ho ya door jana chahte ho...
Kabhi kabhi dekha hai lafzo ko aahista nikalte hotho se,
Aamaan hai kuch dabe dabe se lagta hai kuch batana chahte ho...
Sab kuch tumhara mera mai bhi tumhara,
Meri jindagi mera sukh tumhara dukh tumhara,
Fir bhi naraaj kyo ho kya haq jatana chahte ho...
Khade hoke aaine k samne yu der tak tum dekhte the,
Nasha tha ya kya tha jisme kahte the ham doobe hue,
Aaina hai wo use kya khoobsurat banana chahte ho...
Us se bhi kya ab itni dushmani Julm kyo itna karte ho,
Soch to lo darare pad jayengi agar aansoo bahana chahte ho...
Mante hai aa gaya hai barisho ka mausam,
Bheegne ki tamanna hai ya kuch chhupana chahte ho...
Kashmakash hai dil me to saaso ko kyo dabana chahte ho,
Pas aana chahte ho ya door jana chahte ho...

No comments:

Post a Comment