Saturday, September 20, 2014

Kusur-E-Mohabbat


Tujhe bhulne ki chahat hai dil me is kadar,
Dar lagta hai toot k bikhar na jau dar badar,
Hal kuch yu hai mera tere jane k bad,
Hamari mohabbat k kisse jo tu sareaam kar gaya,
Ghar jane ka rasta wo maikhane  k nam kar gaya...
Tujhe jana hi tha to meri jindagi me aana na tha,
Hone na the jo sapne pure wo dikhana na tha,
Meri mehfil se nikle to mud k dekha hi kyo,
Jate jate kyo mujh pe ye ehsaan kar gaya,
Khaar bhi na hui aur mujhe badnam kar gaya...

Monday, September 8, 2014

Kuch Tere Mere Beech Jaroor Tha


Aaj dil kyo ye bechain hai,
Tujhe dekhne ko tarse kyo ye nain hai,
Ab jab tu door hai lagta hai mujhe,
Din bhi tu hi hai tu hi rain hai,
Jane kyo ab lagta hai,
Ki shayad toota koi guroor tha,
Ab lagta hai ki kuch tere mere beech jaroor tha;

Tu hoga mera ye mumkin hai,
Ek arse se lagta tha mujhe,
Kismat bhi sath thi rab bhi sath tha,
Kuch tha to bas thamna tera hath tha,
Kya waqt tha wo jane dil me kya fitoor tha,
Ab lagta hai kuch tere mere beech jaroor tha;

Kash koi waqt ko rok leta,
Thoda hi sahi peeche mod leta,
Bas ek mulakat hi to karni thi,
Tere naseeb ko shayad khud se jod leta,
Koi aur nahi tha dil todne wala,
Ye to tere naini ka noor tha,
Ab lagta hai kuch tere mere beech jaroor tha;

Achha hi hua tujhse mulakat na hui,
Yu aamne saamne bat na hui,
Tu chhod gaya fir dil pe ek dag hua,
Sukoon gaya mera par kya tu aabad hua,
Kuch to galti hai meri bhi,
par kuch tera bhi kusoor tha,
Ab lagta hai kuch tere mere beech jaroor tha;